taweez mohabbat |Amliyat Mohabbat
Buhat se log chate han ke koi ayesa mohhabat ka taweez ho jo waqi asar rakhta ho aur us se kam bun jai is he waja se hum ne ye azmoodah tawieez o amlyat e muhhabat pesh ker die han.
Ilaayichi k saat (7) daanay ly kar har daany par ism e
Baari TA’ALAH YA WADUUD aik hazaar
bar parhen ilaayichi k daanon par ism qibla rukh beth kat parhna hai parhty
waqt har daany ko khol kar parhna hai.
Jab aik hazaar dafa fee dana parhayi
mukammal ho jaye to ilaayichi ko phir band kar den ab ilaayichiyon ko sambhal
kar rakhen zarurat parny par ilaayichi khol kar aik do daanay kisi ko khila
diye jayen to hamesha k liye ap ka matee’ ho jaye ga. Ap sy mohabbat karny lagy
ga. Aur hamesha aesy he karta rahy ga.
Aur khusoosan is baat ka khayal rakhen k ye amal chaand
ki aik ta chodah tareekh k darmeyan ane wali jumerat ko fajr ki namaz k
baad pehli sa’at mishtri mai ya jumma ko subha fajr ki namaz k baad pehli sa’at
Zahra mai us waqt jan sooraj nikal raha ho tab likhen.
mohabbat pane ka taweez :
Gulaab k arq aur zaafraan sy bani hui seyahi sy sarkandy
k naye qalam sy mandirja zail tilism paan k pattay par likh kar mejboob ko
khila den mehboob ap ki mohabbt mai pagal is tarha ho jaye ga k ap heran reh
jaen gy.
Falaan bin falaan a’alaa hub falaan bin falaan
1.Aur khusoosan is baat ka khayal rakhen k ye amal chaand
ki 14 ki raat tareekh sa’at zhura mai ya jumma ko subha fajr ki namaz k baad pehli sa’at
Zahra mai us waqt jan sooraj nikal raha ho tab likhen.
2.Gulaab k arq aur zaafraan sy bani hui seyahi sy likh kar
neechy mehboob aur apna naam bama’ walida likh kar rozana subha, dopeher aur
sham saat din jalayen mehboob ap k liye pagal ho jaye ga. Aur har waqt ap ki
mohabbat k liye tarpay ga.
mohabbat mein kamyabi ka taweez:
Ye tilism gulaab k arq aur zaafraan sy bani hui seyahi sy sarkandy k
bany hue naye qalam sy likhen aur anaar k darakht sy baandhen k hawa sy hilta
rahy jesy jesy tilism hawa sy hily ga mehboob ap sy milny k liye beqaraar ho
jaye ga aur hamesha matee’ ho kar rahy ga
taweez mohabbat ke liye:
Aik waqt muqarrar kar len raat ko 12 baje k baad rozana is amal ko karna hai. Is taweez mohabbat k liye ap ki niyat ka
saaf hona bohat zaroori hai. Amal teen 3 din mai apna asar dikha kar kaamyabi
sy hamkinaar kar deta hai. Tarkeeb e amal yani tawiz likhna is tarha hai k raat akhari waqat yani barah bajeaik waqt muqarrar kar len aur rozana ussi waqat per karna ha aur gha bhi ek hi rakhni ha. Phir us k baad ye taweez likhe aur pher is per 21 jotia mare.
mohabbat taweez:
Is k liye sab sy pehly to mehboob k naam k adaad hasil
Karen. ( dekhiye shuru k safhaat mai jadwul abjad qamri ) pehly apny naam k
adaad nikalen phie apni waalida k naam k adaad nikalen phir apny dost mehboob
ya matloob k naam k adaad nikalen aur phie us ki maa k naam k adaad nikalen. In
sab naamon k adaad ko jama Karen jitni tadaad bany utni baar mehboob k ghar ki
taraf munh kar k YA WADOOD parhen
aur tasawwur Karen k mehboob ap k pas bary pyar sy bhaagta hua aa raha hai. Jab aap amal pher len to neache dia gia taweez rozana likhe aur us per dum kare.
1.Is ke badd mohabbat ka taweez wazan ke neache dabata jai .Amal mukammal hony .
2.k baad ya amal k doran mehboob ap sy milny ko beqaraar ho
jaye ga. Amal k shuru akhir mai taaq dafa ( yani teen (3), saat (7), ya no (9)
dafa ) Durood Shareef lazmi parhen.
3.Ye amal agar ap iktalees (41) din musalsal
aik jaga muqarrar kar k subha fajr ki namaz k baad ya isha ki namaaz k baad aik
waqt muqarrar kar len aur rozana muqarrarah waqt par parha Karen.
Ap k ap ki
walida k naam aur ap k mehboob dost ya matloob k naam aur is ki walida k naam
ki tadaad k audaad jama karny k baad jo audaad aye thy ussi tadad k mutabiq ye
ism iktalees din parhen. To duniya ki koi taqat ap k dost mehboob ya matloob ko
ap sy milny aur mohabbat mai betaab karny sy nahin rok saky gi.
mohabbat ke liye taweez:
Is mohabbat ka taweez k liye sab sy pehly mehboob bama’ walida aur apna
naam bama’ walida k audaad huroof abjad qamri jo k kitaab k shuru k safhaat mai
di gayi hai mai sy nikaalen jo tadaad bany sab ko jama Karen naya chaand
charhny k baad jummay ki raat ya peer ki raat us ki jo tadaad jama karny k baad
banti hai utni tadaad mai mandirja zail asmaa mubarka parhen parhty waqt
tasawwur mai mehboob ka tasawwur karty waqt shamaal ki taraf phoonk maar den.
mohabbat ka amal jo phera jai ga''ya kunfu beidhe khitba hazer shoo''
K
ye phoonk mehboob k dil par baj rahi hai. Phir mehboob k ghar ki taraf tasawwur
kar k aik phoonk udhar maar den tasawwur mai mehboob ka ghar he hona chahiye. Amal Pherne ke baad ye taweez jo phele se tayar kia gia ho is per dum kare aur subha saaf chalte pane me bah de.pher dheke mehboob kis thara mohabbat me deewana hota ha.Ye tawiz mohabbat ka chalta jadoo ha.
mohabbat ka amal surah falaq ka taweez se:
Is mohabbat ka taweez amal mai mehboob k bayen paon ki mitti ki zaroorat
hoti hai:
- Mehboob k bayen paon ki mitti yani mehboob jahan sy chal kar guzra ho
aur jahan us ka bayaan paon para ho wahan ki thori c mitti utha le.
- nab apny
daayen paon ki bhi mitti utha kar dono mittiyon ko ikattha kar len. Ab ikatthi
ki hui mittiyon par saat dafa surah e ikhlaas ussy pehly shuru k safhaat mai
diya hua 33 dafa Durood Shareef parhen.
- Ye parhny k baad mitti par phoonk kar
dam Karen aur mitti ko aag ki nazar kar den ( aag pehly jala kar pas rakhen )
amal parhty hue mehboob ki soorat ap k tasawwur mai honi chahiye k mehboob ap
ki mohabbat mai nihayat adab s yap k samny khara hai mitti aag mai garam karty
hue mehboob ap k pass aa jaye ga.
- Mitti ko agg me dalne se phele ye taweez bhi likna ha jo ke zabardast tilisman mohabbat ha aur is ko bhi agg me dalna ha.
taweez e mohabbat:
Ap ka mehboob agar ap sy hazaron meel door ho aur ap ki
taraf dhyan na deta ho to is amal s yap k mehboob k dil ko hazaron meel door
bethy is tarha kar sakty hain k har waqt ap ko yaad kary is ka tareeqa e kaar
ye hai k awwal o akhir Durood Shareef
darmeyan mai mandirja zail taweez ko 360 dafa rozana aik waqt muqarrar kar k
muqarrarah waqt par 21 din mehboob k tasawwur k saath likhe aur jala de k mehboob ap ki
yaad mai machli ki tarha tarap raha hai.
.
mohabbat paida karne ka taweez:
Tarkeeb : pehly is tawiz mohabbat ko paanch so ikaawan 551 bar likh kar is ke zakatt ada kere.Tawiz rozana ek he waqt aur ek hi gja likhna ha. mai layen ikkees din tak jab amal mai aa jaye to ikkees 2 kali mirchen
ly kar har aik par saat saat 7 taweez likhe kar tezab mai dalen matloob
chahy kitna he door ho foran bhaaga hua chala aye ga. Jalali o jamali parhaiz
lazmi hai.
taweez se mohabbat ka amal:
Tarkeeb : ye amal har haajit k liye akseer e azam hai
magar hub k liye bhi kamala ka darja rakhta hai. Is ka wird rozana aik hazaar
1000 bar ikkees 21 din tak Karen.
- Aur ye taweez rozana 11 bar likh ker jalana ha.
- dosra tareeqa taweez per amal dum ker ke sharbat me ghool ker pila den.
- teesra treeqa taveez per dum kare aur chalte neher me bha den.
Aur isky bad kisi sharbat par aik so 100 bar
parh kar dam Karen aur is ko zaafraan sy likh kar doodh ya sharbat mai ghol kar
pilayen to matloob ap ko dekhy bagher har waqt beqarar o bechain rahy ga. Aur
agr kisi hajit ki niyat sy parha jaye to chand di k bad sy asraat shuru ho jaen
gy in sha ALLAH parhaiz tark e hewanat rakhen.
Is baba me muhabbat ka taweez jo sab azmodah powerful aur fast working han bayian ker dia gia ha take app ko fiada ho sake.Ye sab mohhabat ke amliyat buhat ke powerful aur fast working han
READ MORE:
1.mohabbat hasil karne ka taweez 2.taweez baraye mohabbat
3.shohar ki mohabbat ka taweez
Is baba me muhabbat ka taweez jo sab azmodah powerful aur fast working han bayian ker dia gia ha take app ko fiada ho sake.Ye sab mohhabat ke amliyat buhat ke powerful aur fast working han
READ MORE:
1.mohabbat hasil karne ka taweez 2.taweez baraye mohabbat
3.shohar ki mohabbat ka taweez